ROZ TUTNA...ROZ BAN
NA..
roz bikhar ke phir judna...
yeh toh dastoor sa ban gaya hai....
roz subah ek nayi ummeed ke saath uthna...
roz shaam uss ummeed ko tut te hue dekhna..
yeh toh dastoor sa ban gaya hai........
roz raat sone ka man karna,
roz raat sone se darr jaana,
roz unhi bure
khwaabon ka aana,
yeh toh dastoor sa ban gaya hai.........
roz subah apni zindagi ko badalne ki thhan na,
roz, shaam hote-hote asliyat ko maan lena,
yeh toh dastoor sa ban gaya hai...........
roz apne aap ko samajhne ki koshish karna,
phir khud hi khud me ulajh jaana,
yeh toh dastoor sa ban gaya hai...........
roz hasna...aur sirf hasna..
roz bikhar ke phir judna....
yeh toh dastoor sa ban gaya hai...
No comments:
Post a Comment